Short Poetry in Hindi

Mil Jaye Mujhe 


Mil jaaye Mujhe Jadui Chirag Tu Mangu main

 usse Lauta De

 Mujhe mere bete lamhe

Jab chhotti Khwahish Thi man mein

Pankh Lagaye udana Aasman mein 

sham ko Nind Aati Thi sukun se

Raat Mein Aate the Sapne Suhane

Vahi Gaon Ki Galiyan purani 

 Jaha Biti Kahani Hamari 

 lot Aaye masumiyat Bhari Aankhen 

 Soch Ho Nanhi Jaan Jaisi 

mil jaaye Mujhe Jadui Chirag to Mangu main usse 

bachpan ki vo shetaniya jo 

tang Kare Badon ko Apne

 Aaye Woh Lamhe phir 

Maa Luta dular Ham pe

bachpan ki vah kahaniyan jo 

raat mein sunayen dadu 

Mile phir  vo dant Pari Jo 

deti Sone Ka  Sikka 

Aaye vo lamhe jo the  Kabhi Hamare

 mil jaaye phir Jeene Ko saare

 Bachpan Haseen Hota Hai 

Jawani badnami Se Bhari 

Bachpan me Nathi Jaruryat Jyada 

Naa hi AatmSamman Ka panga 

mil jaaye Mujhe Jadu Chirag to Mangu main usse

 Aaye Jab Barish to Naav banaye 

medhak Ke Piche Bhage medhak jaise bankar 

doston Ke Sath Na Koi competition 

Sath Rahana Chahe Har Waqt

 Barish Se Bhare gaon ke 

Gather our Talab

 Nadi Bhi Aaye Jaise milane Sagar Se 

mil jaaye Mujhe Jadu Chirag to Mangu main use 

lauta de mujhe mere bite Lamhe

                                                                                                          Radhe...


Previous Post Next Post