Kahate Hain Sab yah ki BeMann Hai Duniya aap bata ye Imandar hai aap ?

Kahate Hain Sab yah ki BeMann Hai Duniya aap bata ye Imandar hai aap ?

kya pata kya chal raha hai

     Desh Mein...

 Kaun Kisi Ko Luta hai

 Aur Din dahade khoon Hota Hai 

betiya luti Jaati Hai

 kya chal raha hai 

   Desh Mein ..

famous hone Ke Chakkar Mein 

Kya Kya Hota Hai 

video on hai aur kapde Utare Jaate Hain 

  Kya Karenge Aisi popularity ka 

  Apne Khud Ke Iman ko becha khae hai 

kya chal raha Hai  

    Desh Mein....

Garib aur Garib 

  Amir aur Amir Hue ja rahe hain 

bhrtneta vot ke Dam per 

Desh chalane nikalte Hain 

vot bhi kharida Jaate Hain yaha 

Rashtriy Nagrik hone ka 

Farz Kahin andar hi Mar jata hai 

    lalach dekar jite Hue neta 

lalach Nahin karegi

 yah log kaise man Lete Hain 

 kya chal raha hai

     Desh Mein....

 ladka ladki Ek Saman 

Nare lagwane wale

 ladkon ki Seerat Dekho 

Surat Nahin.... Kahane wale 

..Jab betiya Ghar Se nikale to surakshit Hai 

  yah Kahane wale dikhye  Mujhe 

Kya Kisi bhi Kone mein 

betiyan surakshit hai 

kya chal raha hai 

   Desh Mein... 

Dharm ke naam per Danga Karne Wale 

bahut Milege Yaha 

Sab dharm Ko Saman... Unchi nichh ki

 deewar ko giraye to main Manu

 yah Ekta hai 

kya chal raha hai 

   Desh Mein....

 mehnat Karne Wale 

   mehnat Karte  hi Rah Jaate Hain 

ghus..Dene Wale Oode per 

birajte hai

 Aese bemaan  kya kare ge

 Achcha Kisi Ka 

khud bemaan se Bhara Dil Liye

 phirte hain 

kya chal raha hai 

  Desh Mein...... 

baiman Ki Basti Mein 

Iman dhundhne nikale Ho 

Ghar Laut jao 

yah Kahane wale bahut milegi 

par Tu Har na Nahi


 kar khoj 

dhudhne per to Khuda Bhi Milta Hai 

Imaan Bhi Milega Tujhe 

ha.. Kathinaya Hogi.. 

rukawat Banegi beimani 

tuna jhukna bemaan ke aage 

Apna Rasta Khud banana 

Pathar Se agai 

chalta Rahana is Iman Ki Khoj mein

Milega Tuje Apne bhitar Kahi 

Tu kar khaoj...

 Milega Tujhe Ek Roj 

Imaan se Bhara man Jo Hai

tere bhitar 


Iman ki Jwala Jalana Sabke Dil Mein 

Imaan bade ga tabhi baimaan gire ga 

uski girti Hui  Shan vo Fir Na Samit paye

 Itni Jalana Jwala 

Sab Ke bhitar Iman milege

 Dur Ho samasya saari 

Desh Bane Abad 

Abadi ki shan mein 

Imaan ki chhav mein 

Sukoon Mila Tujhe 

Tere Har EK karm mein

                                                                                 Radhe...

Previous Post Next Post