Short Poetry in Hindi

Raat...        



Raat Kitni Khubsurat hoti hai Na 
Jaane Kyon darte Hain Log rat se 
Raat Ki Baad hi Savera Hota Hai Din Achcha hai to Raat Kyu Nahin ?
Raat Mein Aasman me Roshni Bikherta hai chand
Jo Har Kisi Ko Mehboob Ki Yad dilata hai
Raat Mein unginat Tare Jo Apno Ke hone ka Ehsaas Karvate Hain 
Raat Ka Ek Hi Rang hai Kala
din to Rang Badalta rahata Hai
 Raat Mein vastavikta ka Ehsas Hota Hai 
Din to ujale ka Bhram hai
Raat ke bad severe Ka Intezar hota hai
din ke bad Raat Ka intazar hota hai 
Raat Ek Kahani Hai jab ki 
Din Insan ki Ajeeb Dastan 
Raat Mein Sukoon hota hai Charo Taraf
 Din Shor sharabo ka ghar 
rat sukoon Se Bhari Hoti Hai...
 Aaram Se gujar Jaati Hain 
Soor Se Bhara Din Bhag Daod mein hi gujarta hai
                                                                    Radhe...


Previous Post Next Post